Monday, 18 August 2014

Aquila khan

  Aksr meri sar zameen per aisa bhi hota hai
 bachpan zakhmi laholohaan hota hai ...
Akasr nahi goojti wos k kaano mein loriya..
bomb v baarood ki awaaz sounn sehma sa sota hai ...
Aksar meri sar zameen per aisa bhi hota hai.....

tumhari khoof zada raato mein sapney bhi aate hongay..
won sapno ki tabeer mei batati hoon dosto..
woh sapney hai sahar.e.azaadi k sapney..
woh sapney hai aman.e.watan k..
woh musbat mustakbil k sa pney..
jo dekhe hai hum ne tumne or tumhare ajdaad ne..
woh sapney surkh aftaab le kr aayega...
umeedo ki darwaajo se tumahre sirhaane baithega...
 Aksar iss sar zameen par aisa hi hoaa hai..
jab jab zulam badha hai woh nast nabood hoa hai...
tum sapnay dekho ..

khoof k nahi aazaadi k..
darr k nahi bekoofi k..
kaid k nahi rehaaee k..u
anjaam k nahi aagaaj k..

hum sab tumahre saath hai yakeen hai tumahre hosle pr..
woh aoozaar k dum per zulam machate hai..
tum himmat k geet gana sathiyo..
woh moat ki need solatay hai
tum zindagi k geet gana sathiyo ...

Q k aksar iss sar zameen pr aisa hi hoa hai..
naee nasal ne zulam ka khtama kr aman ka paigaam diya hai,..
Aksar..... haan Aksar.!

2 comments:

Unknown said...

Bahut khoob Aquila.. mostly I got the inspiring message you have beautifully put forth.. I didnt understand some words though.. my bad you got to teach me some urdu... beginners level :-)

Unknown said...

Aquila,
Thank you, would you pls email a translation to english so that I could send it to my friends in Gaza.
- Ajay